Karbala ki khak par kya aadmi sajde main hai
Maut ruswa ho chuki hai, zindagi Sajde main hai
Voh jo ek sajda Ali ka bach raha tha waqt e fajr
Fatima ka laal shayad ab usi sajde main hai
Voh jo aashura ki shab Gool ho gaya tha ek chiragh
Ab kayamat tak Usi ki roshni sajde main hai
Hashr tak jiski qasam khate rahenge Ahl e haq
Aek nafs e mutmain us dayimi sajde main hai
Is pe hairat kya laraz uththi zameen e karbala
Raqib e dosh e payambar Aakhri sajde main hai
Sunnat e payambar e khatim hai sajde ka ye tool
Kal nabi sajde main the aaj aek vali sajde main hai
Shayar : Iftikhar Aarif
Naat khan : Sayyad Hasan ullah Qadri
—————————————————————————-
करबला की खाक पर कया आदमी सजदे में हे
मौत रुस्वा हो चुकी हे, जींदगी सजदे में हे
वो जो ईक सजदा अली का बच रहा था वक्ते फजर
फातीमां का लाल शायद अब उसी सजदे में हे
वो जो आशुरा की शब गुल हो गया था ईक चीराघ
अब कयामत तक उसी की रोशनी सजदे में हे
हशर तक जीस की कसम खाते रहेंगे अहले हक
ईक नफसे मुतमईन उस दाईमी सजदे में हे
ईस पे हैरत कया लरझ उठ्ठी जमीने करबला
राकीबे दोशे पयम्बर, आखरी सजदे में हे
सुन्नते पयम्बरे खातीम है सजदे का ये तुल
कल नबी सजदे में थे आज ईक वली सजदे में हे
