Kon shahr e makka main sub’h sub’h aaya hai
Jis ke noor se aalam saara jhagmagaaya hai
Ghaib se nidaa aayi Aamena mubarak ho
Toone rahematĀ e haqq se noor haqq ka paaya hai
Thi Nidaa Shab e Asra, Udnoo-Minni Maheboob
Be dhadak chale aa’ao, hamne hi bulaaya hai
Aql sab ki haira’n hai, dekh kar shah e dee’n ko
Ye bashar to hai lekin, kyoo’n na inka saaya hai
Inna-Ma-Ana-Basharum-mislukum ke parde main
Haq ne apne jalwo’n ka, aayina sajhaaya hai
Ya nabi main tum par kyoo’n, na jaan-o-dil fidaa kar du
Ham ne aap ko paakar,to khuda ko paaya hai
Daamn e nabi “Aashiq“, ab na ham se chhotega
Ham ne un se jo manga, vo khuda se paaya hai