कुछ करें अपने यार की बातें
कुछ दिले-दिग़दार की बातें
हम तो दिल अपना दे ही बैठे हैं
अब ये क्या इख़्तियार की बातें
मैं भी गुज़रा हूँ दौरे-उल्फ़त से
मत सुना मुझ को प्यार की बातें
अहले-दिल ही यहाँ नहीं कोई
क्या करें हाले-ज़ार की बातें
पी के जामे-मोहब्बते-जानाँ
अल्लाह अल्लाह ! ख़ुमार की बातें
मर न जाना मता-ए-दुनिया पर
सुन के तू मालदार की बातें
यूँ न होते असीरे-ज़िल्लत तुम
सुनते गर होशियार की बातें
मोअतदिल सुन्नियों की फ़ितरत है
करते हैं चार यार की बातें
फ़ित्ना तफ़्ज़ीलियत का फैला है
चल करें यारे-ग़ार की बातें
हर घड़ी वज्द में रहे “अख़्तर”
कीजिए उस दयार की बातें
Kuchh karen apne yaar ki baatein
Kuchh dil e dildaar ki baatein
Ham to dil apna de hi baithe hain
Ab ye kya ikhtiyaan ki baatein
Main bhi guzra hun daur e ulfat se
Mat suna mujh ko piyaar ki baatein
Ahl e dil hi yaha.n nahin koi
Kya karen haal e zaar ki baatein
Pee ke jaam e muhabbat e jaana.n
Allah Allah ! Khumaar ki baatein
Mar na jana mata’a e duniya par
Sun ke too maaldaar ki baatein
Yoo.n na hote aseer e zillat tum
Sunte gar hoshiyaar ki baatein
Mo’atadil sunniyon ki fitrat hai
Karte hain chaar yaar ki baatein
Fitna tafzeeliyyat ka phaila hai
Chal karen yaar e ghaar ki baatein
Har ghadi wajhad main rahe “Akhtar”
Keejiye us dayaar ki baatein
Shayar : Akhtar Raza Khaan Baraili
Naat Khaan : Owais Raza Qadri