Assalamu Alaikum

Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye

Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye
Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye

Thandi thandi hawa, rehmaton ki chali
Banke moz e karam, Mustafa aa gaye
Hal meri ho gayi khud ba khud mushkilain
Sare aalam ke, mushkil-kusha aa gaye

Aamena ka muqaddar, sanwara gaya
God main chand, jiski utaara gaya
Hoor-o-ghilman salaami ko jhukne lage
Padhte Rizwan sallay ala aa gye

Donon aalam ki qismat badalne lagi
Noor main konain dhalne lagi
Khush muqaddar Halima mubaarak tujhe
God main teri khairul-wara aa gaye

Ban gayi hai zamee’n rashq e baagh e jinan
Sajh gaye aasmaa’n, khil utha gulistan
Manglo rehmaten, khol lo jholiyaan
Dene khairaat haajat rawa aa gaye

Aaj koi bhi “Sayim” na khali raha
Sab muraaden mile, har musibat tale
Madni Aaqa ki aamad ka sadqa mile
Bheek lene ko ham ya khuda aa gaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button