Woh Shaher e Muhabbat Jahan Mustafa Hain
वो शहरे-मोहब्बत, जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वो शहरे-मोहब्बत, जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है
वो सोने से कंकर, वो चाँदी सी मट्टी
नज़र में बसाने को जी चाहता है
जो पूछा नबी ने, के कुछ घर भी छोड़ा
तो सिद्दीक़ अकबर के होंठों पे आया
वहाँ मालो-दौलत की क्या है हक़ीक़त
जहाँ जाँ लुटाने को जी चाहता है
वो नन्हा सा अस्गर, वो एड़ी रगड़ कर
यही कह रहा था, वो ख़ेमे में रो कर
ऐ बाबा ! मैं पानी का प्यासा नहीं हूँ
मेरा सर कटाने को जी चाहता है
जिहादे-मोहब्बत की, आवाज़ गुंजी
कहा, हन्ज़ला ! ने ये दुल्हन से अपनी
इजाज़त अगर दो तो जामे-शहादत
लबों से लगाने को जी चाहता है
सितारों से ये चाँद, कहता है हर-दम
तुम्हें क्या बताऊँ वो टुकड़ों का आलम
ईशारे में आक़ा के इतना मज़ा था
के फ़िर टूट जाने को जी चाहता है
जो देखा है रू-ए-जमाले-रिसालत
तो, ताहिर ! उमर मुस्तफ़ा से ये बोलें
बड़ी आप से दुश्मनी थी मगर अब
ग़ुलामी में आने को जी चाहता है
================In English=================
Woh Shahr e Muhabbat Jahan Mustafa hain Lyrics
Woh shaher e muhabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banaane ko jee chaahta hai
Woh sone se kankar woh chandi si matti
Nazar main basaane ko jee chaahta hai
Jo puchha Nabi ne, ke kuchh ghar bhi chhoda
To Siddiq Akbar ke honthon pe aaya
Wahan maal-o-daulat ki kya hai haqeeqat
Jahan jaan lutaane ko jee chaahta hai
Woh Nanha sa Asgar, voh aedi ragad kar
Yahi kah raha tha woh kheme main rokar
Aye baba ! main paani ka piyaasa nahin hun
Mera sar kataane ko jee chaahta hai
Jihaad e muhabbat, ki aawaaz gunjhi
Kaha Hanzala ne ye Dulhan se apni
Ijaazat agar do to jaam e shahaadat
Labon se lagaane ko jee chaahta hai
Sitaaron se ye Chaand kaheta hai har-dam
Tumhain kya bata’aun woh tukdon ka aalam
Ishaare main Aaqa ke itna maza tha
Ke phir toot jaane ko jee chaahta hai
Jo dekha hai Rooa e Jamaal e Risaalat
To “Tahir” Umar Mustafa se ye bole
Badi aap se Dushmani thi magar ab
Ghulaami main aane ko jee chahta hai
Naat Khaan :
Hafiz Tahir Qadri,
Zohaib Ashrafi,
Syed Hassanullah Husaini
