Assalamu Alaikum

Main Khud Par Naaz Karta Hoon Raza Ka Naam Lewa Hoon Lyrics In Hindi And Roman English

मैं हूँ सुन्नी रज़वी क़ादरी, मैं हूँ सुन्नी रज़वी क़ादरी

मैं हूँ रज़ा का दीवाना, मैं हूँ रज़ा का दीवाना

आक़ा की वफ़ादारी रज़वी ख़ून में शामिल है
आक़ा की वफ़ादारी रज़वी ख़ून में शामिल है

मैं ख़ुद नाज़ करता हूँ, रज़ा का नाम लेवा हूँ
मैं सुन्नी ख़ुश अक़ीदा हूँ, रज़ा का नाम लेवा हूँ

मैं नामूसे-रिसालत पर हमेशा देता हूँ पेहरा
मैं दरबाने-सहाबा हूँ, रज़ा का नाम लेवा हूँ

कभी आले-नबी या हों सहाबा, सब के बारे में
अक़ीदा साफ़ रखता हूँ, रज़ा का नाम लेवा हूँ

रज़ा वाले ही होते हैं खड़े मज़्लूम के हक़ में
वफ़ा का दर्स देता हूँ, रज़ा का नाम लेवा हूँ

सहाबा और अहले-बैत से करते हैं जो उल्फ़त
उन्हीं के पीछे चलता हूँ, रज़ा का नाम लेवा हूँ

दरे-ख़ातूने-जन्नत पर रड़ा रहता है दिल मेरा
सवाली सय्यिदा का हूँ, रज़ा का नाम लेवा हूँ

मनाता ग्यारहवीं भी हूँ, सजाता बज़्मे-रज़वी हूँ
मैं गुन वलियों के गाता हूँ, रज़ा का नाम लेवा हूँ

हर इक महफ़िल में जाने से, सभी को अच्छा कहने से
बहुत मोहतात रहता हूँ, रज़ा का नाम लेवा हूँ

नमाज़ी हूँ, नियाज़ी हूँ, मैं मीलादी सुन्नी हूँ
अक़ीदा है क़वी मेरा, रज़ा का नाम लेवा हूँ

ख़ुदा का है करम मुझ पर, ऐ “राग़िब” ! क़ादरी हूँ मैं
मैं सग अख़्तर रज़ा का हूँ, रज़ा का नाम लेवा हूँ



Main hoon Sunni Razwi Qadri
Main hoon Sunni Razwi Qadri

Main hoon raza ka deewana
Main hoon raza ka deewana

Aaqa se wafaadaari razvi khoon main shaamil
Aaqa se wafaadaari razvi khoon main shaamil

Main khud par naaz karta hoon, Raza ka naam lewa hoon
Main sunni khush aqeeda hoon, Raza ka naam lewa hoon

Main naamoos e risaalat par hamesha deta hoon pehra
Main darbaan e sahaaba hoon, Raza ka naam lewa hoon

Kabhi aal e nabi ya hon sahaaba sab ke baare main
Aqeeda saaf rakhta hoon, Raza ka naam lewa hoon

Raza waale hi hote hain khade mazloom ke haq main
Wafa ka dars deta hoon, Raza ka naam lewa hoon

Sahaaba aur Ahl e bait se karte hain jo ulfat
Unhin ke peechhe chalta hoon, Raza ka naam lewa hoon

Dar e Khaatoon e Jannat par pada rahta hai dil mera
Sawaali sayyida ka hoon, Raza ka naam lewa hoon

Manaata giyarahwee.n bhi hoon, sajhaata bazm e razvi hoon
Main gun waliyon ke gaata hoon, Raza ka naam lewa hoon

Har ek Mahfil main jaane se, sabhi ko achha kahne se
Bahut mohtaat rahta hoon, Raza ka naam lewa hoon

Namaazi hoon, niyaazi hoon, main meelaadi sunni  hoon
Aqeeda hai qawi mera, Raza ka naam lewa hoon

Khuda ka hai karam mujh par, Ae “Raaghib“! Qaadri hoon main
Main sag Akhtar raza ka hoon, Raza ka naam lewa hoon

Shayar : Misbahul Haq Raghib
Naat Khaan : Hafiz Tahir Qadri,
Hafiz Ahsan Qadri,
Muhammad Zeeshan Qadri,
Hafiz Atif Aslam Qadri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button