Assalamu Alaikum

Main Qadri Diwana Main Qadri Mastana Lyrics

मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना

मैं क़ादरी हूँ शुक्र है रब्बे-क़दीर का
दामन है मेरे हाथ में पीराने-पीर का

या पीरे-पीराँ ! अल-मदद
या मीरे-मीराँ ! अल-मदद
या शाहे-जीलाँ ! अल-मदद
या ग़ौषुल-आज़म ! अल-मदद

दीवाना दीवाना दीवाना
दीवाना दीवाना दीवाना

मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना
या ग़ौष ! फ़क़ीरों की, तुम लाज निभा जाना

बग़दाद की गलियाँ हैं, और उर्स का मेला है
लंगर जो यहाँ देखा, हमने कहीं देखाना

बग़दादी फ़क़ीरों का, ये हाल भी देखा है
माहौल फ़क़ीराना, अंदाज़ है शाहाना

जीलान के वाली तो सख़ियों के शहंशाह हैं
भर देंगे तेरा दामन, बग़दाद चले आना

मेरे ग़ौष के लेहजे में, रोशन है शरीअत भी
हर बात तरीक़त है, किर्दार जुदागाना

वलियों के वली आए, मेरे ग़ौषे-जली आए
मीराँ की सवारी है, आँखों को बिछा जाना

मैं ग्यारहवीं की महफ़िल, घर अपने सजाता हूँ
ये तोहफ़ा उजागर का, मंज़ूर हो जानाना

===============In English================

Main Qadri Deewana, Main Qadri Mastaana Lyrics

Main qadri hun, shukr hai Rabb e Qadeer ka
Daaman hai haath main, peeran e peer ka

Ya peer e peeran ! al-madad
Ya meer e meeran ! al-madad
Ya shaah e jeelan ! al-madad
Ya ghaus-ul-aazam ! al-madad

Deewana, Deewana, Deewana
Deewana, Deewana Deewana

Main Qadri deewana, Main Qadri mastaana
Ya Ghaus ! faqeeron ki laaj nibha jaana

Baghdaad ki galiyan hain, aur urs ka mela hai
Langar jo yahan dekha, hamne kahin dekha na

Baghdaadi faqeeron ka, ye haal bhi dekha hai
Mahol faqeerana, andaaz hai shaahana

Jeelan ke waali to, sakhiyon ke shahenshah hain
Bhar denge tera daaman, baghdaad chale aana

Mere laheje main, roshan hai sharee’at bhi
Har baat tareeqat hai, kirdaar judaagana

Waliyon ke wali aa’ae, mere ghaus e jali aa’ae
Meeran ki sawaari hai, aankhon ko bichha jaana

Main gyarhwin ki mahfil, ghar apne sajaata hun
Ye tohfa “Ujagar” ka, manzoor ho janaana

Shayar : Allama Nisar Ali Ujagar
Naat Khaan : Syed Hassan Ullah Husaini

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button