Mausam Suhana Huaa Nabi Ka Jab Aana Huaa

Mausam suhana hua nabi ka jab aana huaa
Mere Aaqa ke jalwon se roshan zamana huaa

Qurbaan jaau.n main ye bole Jibreel e ami.n
Sidra se bhi aage nabi ka jab jaana huaa

Owais e Qarni ne khud ko mitaa daala
Bin dekhe Aaqa ka jab dil diwana huaa

Zahir main illallah, Baatin main na’uzu-billah
Najdi Wahaab ka naatak purana huaa

Deen e Muhammad ki khaatir Ali tera
Qurbaan karbal main Saara gharaana huaa

Din ho gaya roshan, Tareekiyan mit gayi
Mere Nabi ka jab kahin bhi muskurana huaa

Gustaakhiyan kar ke sach hai “Saleem e Raza
Najdi wahaabi ka dozakh thikaana huaa

 

Shayar : Saleem Raza Pilibhiti
Naat Khaan : Saleem Raza Pilibhiti

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top