Muhammad Mustafa Aae Bahaar Andar Bahar Aai
Muhammad Mustafa aae bahaar andar bahar aai
Zamee.n ko choomne jannat se khushboo baar baar aai
Janaab e Aamena ka chand jab chamka zamaane main
Qamar ki chaandani qadmon pe hone ko nisaar aai
Badee mayoos thi Dayi Halima jab gaai Makke
Magar aai to lekar do-jahan ka taajadaar aai
Halima jo-jahan qurbaan hon tere muqaddar par
Tere kachche se ghar main ‘Rahemat e Parwardigaar’ aai
Jabi to hai mahak uththi ye aalam ki fazaa saari
Hai gaisoo choom kar unke naseem e khushgawar aai
Rabiaun-noor ki sub’h khabar faili ye Makka main
Ke rahemat do-jahaanon ki hai Abdullah ke ghar aai
Meelad e Mustafa main kyoon manau.n na “Zaheer“Uanka
Ke jinke aane se duniya andheron se nikal aai
Voh Aae to manaadi ho gai “Saayim” zamaane main
Bahaar aai, bahaar aai, bahaaron par bahaar aai
Shayar : Allama Saayim Chishti
Naat Khaan : Milaad Raza Qadari