Mustafa Aap Ke Jaisa Koi Aaya Hi Nahin Lyrics In Hindi And Roman English

मुस्तफ़ा आप के जैसा कोई आया ही नहीं
आता भी कैसे जब अल्लाह ने बनाया ही नहींं

कोई सानी न है रब का, न मेरे आक़ा का
एक का जिस्म नहीं, एक का साया ही नहीं

क़ब्र में जब कहा सरकार ने, ये मेरा है
फिर फ़रिश्तों ने मुझे हाथ लगाया ही नहीं

ज़ुल्फ़ वल्लैल है, रुख़ वद्दुहा, मा-ज़ाग़ आँखें
इस तरह रब ने किसी को भी सजाया ही नहीं

आप ने जब से नवाज़ा है, या रसूलल्लाह !
मैं ने दामन किसी चौखट पे बिछाया ही नहीं

जिस ने सरकार के चेहरे की ज़ियारत की है
उस की नज़रों में कोई और समाया ही नहीं

लौट कर आ गया मक्के से, मदीने न गया
कैसे जाता, तुझे आक़ा ने बुलाया ही नहीं

जब से दरवाज़े पे लिखा मैं ने आला हज़रत
कोई गुस्ताख़े-नबी घर मेरे आया ही नहीं

जब से दरवाज़े पे लिखा है या रसूलल्लाह !
कोई गुस्ताख़े-नबी घर मेरे आया ही नहीं

जब तलक पुश्त पे शब्बीर रहे, ऐ फ़ैज़ी !
सर को सज्दे से पयम्बर ने उठाया ही नहीं



Mustafa aap ke jaisa koi aaya hi nahin
Aata bhi kaise jab allah ne banaaya hi nahin

Koi saani na hai Rab ka, na mere Aaqa ka
Aek ka jism nahin, aek ka saaya hi nahin

Qabar main jab kaha sarkar ne, ye mera hai
Phir Farishton ne mujhe haath lagaaya hi nahin

Zulf wallail hai. rukh wadduha, maa-zaagh aankhen
Is tarah rab ne kisi ko bhi sajaaya hi nahin

Aap ne jab se nawaza hai, ya rasoolallah !
Main ne daaman kisi chaukhat pe bichhaya hi nahih

Jisne sarkar ke chehre ki ziyarat ki hai
Uski nazron main koi aur samaaya hi nahin

Laut kar aa gaya makke se, madine na gaya
Kaise jata tujhe aaqa ne bulaaya hi nahih

Jab se darvaze pe likha main ne aala hazrat
Koi gustakh e nabi ghar mere aaya hi nahin

Jab se darveze pe likha hai ya rasoolallah !
Koi gustakh e nabi ghar mere aaya hi nahin

Jab talak pusht pe shabbeer rahe, ae “faizi” !
Sar ko sajde se pyambar ne uthaaya hi nahin

 

Shayar : Shamim Faizi
Naat Khaan : Shamim Faizi,
Hafiz Tahir Qadri,
Ghulam Mustafa Qadri

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top