Nabi ke Nawase Husain Ibn e Haidar

Nabi ke nawase husain ibn e haidar
Ladak pan ka wada nibhane chale hain
Sua e Karbala voh bahattar ko le kar
Raza e khuda sar katane chale hain

Voh duldul pe dekho shahadat ki dhun main
Chale taigh lekar voh sher e khuda ki
Akele voh ran ki taraf allah allah
Layinon ki hasti mitane chale hain

Voh ghar se nikal kar madine ke bahir
Khade kahe rahe hain ye Zahra ke jani
Layinon se kahedo ke ummat ki khatir
Husain apne ghar ko lutane chale hain

Jidhar dekhiye maut ka hai andhera
Ye roroke kaheta hai dil aaj mera
Hazaron ke narghe main Sabbir tanha
Lahu apne dil ka bahane chale hain

“Atik”Inb e Haidar ka sine main gham hai
Jabhi aaj meri ye aankhe bhi nam hain
Voh Zahara piyare, Ali ke dulare,
Hai waqt e Asar sar jhukane chale hain

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top