Noor Wale Aaqa Ka Milad Aaya Lyrics In Hindi And Roman English

चाँद उतर आया, नूर नूर छाया
नूर वाले आक़ा का मीलाद आया

ज़िक्रे-नबी-ए-पाक को दिन-रात करेंगे
लंगर, सबील, सदक़ाओ-ख़ैरात करेंगे
सूनी कोई गली, ना मुहल्ला कहीं होगा
कर के चराग़ाँ नूर की बरसात करेंगे
हाँ ! गली गली शहर शहर धूम मची है
आमिना के लाल के आने की ख़ुशी है

नूर वाले आक़ा का मीलाद आया 
नूर वाले आक़ा का मीलाद आया

बोलो ! अहलंव्व-सहलन मरहबा
बोलो ! अहलंव्व-सहलन मरहबा

आमद है किस पयम्बरे-आली-मक़ाम की
आने लगी सदा-ए-दुरूदो-सलाम की
मीलादे-मुस्तफ़ा से है दुनिया में रौनकें
धूमें मची हैं आमदे-शाहे-अनाम की

दिवानों ! झूमों झूमों

जश्ने-नबी कू-ब-कू ! आ गया मीलाद है
धूम मची चार-सू ! आ गया मीलाद है
नूर ज़माना हुवा ! आ गया मीलाद है
मैं भी दिवाना हुवा ! आ गया मीलाद है
हाथों में झंडा उठा ! आ गया मीलाद है
दिल से ये नारा लगा ! आ गया मीलाद है

घर घर में सज गया मीलाद है
हर ज़बाँ पे मुस्तफ़ा की नात है
शरबत पिलाएँगे, लंगर खिलाएँगे
नामे-नबी चूम कर, दिल से दिल मिलाएँगे

नूर वाले आक़ा का मीलाद आया
नूर वाले आक़ा का मीलाद आया

ख़ुश आज आशिक़ों का घराना ज़रूर है
चहेरों पे मुस्कुराहटें, दिल में सुरूर है
लगता है आज तारे ज़मीं पर उतर गए
सरकार आए मरहबा, हर सम्त नूर है

हाँ ! गली गली शहरशहर धूम मची है
आमिना के लाल के आने की ख़ुशी है

नूर वाले आक़ा का मीलाद आया
नूर वाले आक़ा का मीलाद आया

आलम में कोई देखा नहीं आप सा हसीं
कैसे वो देखता ? किसी माँ ने जना नहीं
ख़ूबाने-जहाँ सर ख़मीदा पैशे-मुस्तफ़ा
लाओ तो कोई मेरे मुहम्मद सा मह-जबीं

हाँ ! गली गली शहर शहर धूम मची है
आमिना के लाल के आने की ख़ुशी है

नूर वाले आक़ा का मीलाद आया
नूर वाले आक़ा का मीलाद आया

देखो तो आस पास जहाँ नूर नूर है
तशरीफ़ आवरी पे समाँ नूर नूर है
नातों की गुँज सल्ले-अला, लब पे मरहबा
चारों तरफ़ ही सारा जहाँ, नूर नूर है

ये जश्ने-नबी इश्क़े-नबी की दलील है
सरकार की सना तो हमारी वकील है
जन्नत में कोई जाएगा, हरगिज़ न जाएगा
उन पर दुरूद पढ़ने में जो भी बख़ील है

हाँ ! गली गली शहर शहर धूम मची है
आमिना के लाल के आने की ख़ुशी है

नूर वाले आक़ा का मीलाद आया
नूर वाले आक़ा का मीलाद आया

आक़ा की नात पढ़ के ज़रा तू भी झूम ले
पढ़ ले दुरूद इश्क़ जहानों में घूम ले
ताज़ीमे-मुस्तफ़ा का तक़ाज़ा है उम्मती
आक़ा का नाम आए, अंगुठों को चूम ले

हाँ ! गली गली शहर शहर धूम मची है
आमिना के लाल के आने की ख़ुशी है

नूर वाले आक़ा का मीलाद आया 
नूर वाले आक़ा के मीलाद आया

तख़लीक़े-काईनात का मबदा कहूँ तुझे
ऐ नूर वाले ! नूरे-तजल्ला कहूँ तुझे
शैरे-रज़ा पे ख़तम “उजागर” ने कर दिया
ख़ालिक़ का बंदा ख़ल्क़ का आक़ा कहूँ तुझे

नूर वाले आक़ा का मीलाद आया
नूर वाले आक़ा का मीलाद आया



Noor utar aaya, noor noor chhaaya
Noor wale aaqa ka milaad aaya

Zikar e nabi e paak ko din-raat karenge
Langar, sabeel, sadqaa-o-khairaat karenge
Sooni gali, na muhalla kahin hoga
Kar ke charaagha noor ki barsaat karenge
Haa.n ! gali gali shahar shahar dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khishi hai

Noor wale aaqa ka milaad aaya
Noor wale aaqa ka milaad aaya

Bolo ! Ahla-wwa-sahlan marhaba
Bolo ! Ahla-wwa-sahlan marhaba

Aamad hai kis payambar e aali-maqaam ki
Aane lagi sadaa e durood-o-salaam ki
Milaad e Mustafa se hai duniya main raunaqen
Dhoomen machi hain aamad e shaah e anaam ki

Diwanon ! jhoomon jhoomon

Jashn e nabi koo-ba-koo ! aa gaya milaad hai
Dhoom machi chaar-soo ! aa gaya milaad hai
Noor zamana huaa ! aa gaya milaad hai
Main bhi diwaana huaa ! aa gaya milaad hai
Hathon main jhanda utha ! aa gaya milaad hai
Dil se ye naara laga ! aa gaya milaad hai

Ghar ghar main sajh gaya milaad hai
Har zubaa.n pe Mustafa ki naat hai
Sharbat pilaaenge, langar lootaaenge
Naam e nabi choom kar, dil se dil milaaenge

Noor wale aaqa ka milaad aaya
Noor wale aaqa ka milaad aaya

khush aaj aashiqon ka gharaana zaroor hai
Chehron pe muskuraahaten, dil main suroor hai
Lagta hai aaj taare zamee.n par utar gaye
Sarkar aa’ae marhaba, har samt noor hai

Haa.n ! gali gali shahar shahar dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khishi hai

Noor wale aaqa ka milaad aaya
Noor wale aaqa ka milaad aaya

Aalam main koi dekha nahin aap sa hasi.n
Kaise wo dekhata ? kisi maa.n ne jana nahin
Khoobaan e jahaan sar Khaneeda paish e Mustafa
Laao to koi mere Muhammad sa mah-jabee.n

Haa.n ! gali gali shahar shahar dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khushi hai

Noor wale aaqa ka milaad aaya 
Noor wale aaqa ka milaad aaya

Dekho to aas-paas jahaan noor noor hai
Tashreef aavari se samaa.n noor noor hai
Naaton ki goonjh salley-ala, lab pe marhaba
Chaaron taraf hi saara jahaan, noor noor hai

Ye Jashn e nabi ishaq e nabi ki daleel hai
Sarkar ki sana to hamaari wakeel hai
Jannat main koi jaayega, hargiz na jaayega
Unpar durood padhne main jo bhi bakheel hai

Haa.n ! gali gali shahar shahar dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khushi hai

Noor wale aaqa ka milaad aaya
Noor wale aaqa ka milaad aaya

Aaqa ki naat padh ke zara too bhi jhoom le
Padh le durood ishaq jahaanon main ghoom le
Taazeem e mustafa ka taqaaza hai ummati
Aaqa ka naam aa’ae, angoothon ko choom le

Haa.n ! gali gali shahar shahar dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khushi hai

Noor wale aaqa ka milaad aaya
Noor wale aaqa ka milaad aaya

Takhleeq e kainaat ka mabda kahoo.n tujhe
Ae noor wale ! noor e tajalla kahoo.n tujhe
Sher e Raza pe Khatm “Ujagar” ne kar diya
Khaaliq ka banda khalq ka aaqa kahoo.n tujhe

Noor wale aaqa ka milaad aaya 
Noor wale aaqa ka milaad aaya

Shayar : Allama Nisar Ali Ujagar
Naat Khaan : Hafiz Tahir Qadri,
Hafiz Hasan Qadri

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top