Assalamu Alaikum

Shaian Lillah Ya Abdal Qadir | Idhar Bhi Nigah e Karam

शैअन-लिल्लाह, या अब्दल क़ादिर

शैअन-लिल्लाह, या अब्दल-क़ादिर
या साकिन बग़दाद, या शैख़ल-जीलानी

इधर भी निगाहे-करम ग़ौषे-आज़म
करो दूर रंजो-अलम, अलम ग़ौषे-आज़म

मेरा हर महज़ दूर  हो जाए, प्यारे
करो ऐसा आ कर के दम, ग़ौषे-आज़म

बहुत चुभ रहा है, ख़ुदारा निकालो
मेरे दिल से तीरे-अलम, ग़ौषे-आज़म

कहीं गिर न जाऊँ, ख़ुदारा सँभालो
मेरे डगमगाए क़दम, ग़ौषे-आज़म

तेरा हूँ मैं तेरा, मेरे इस कहे का
सरे-हश्र रखना भरम, ग़ौषे-आज़म

खिलाता पिलाता है रब्बे-दो-आलम
तुझे दे के अपना क़सम, ग़ौषे-आज़म

मदीने से नज्दी बला को निकालो
करो उन के सर को क़लम, ग़ौषे-आज़म

मुझे ख़्वाब में आ के जल्वा दिखा दो
करो आज की शब करम, ग़ौषो-आज़म

जिला पाएगा दिल उबैदे-रज़ा का
ज़रा रख दो अपना क़दम, ग़ौषे-आज़म

ये दिल ये जिगर है, ये आँख ये सर है
जहाँ चाहो रखो क़दम, ग़ौषे-आज़म

असीरों के मुश्किल-कुशा ग़ौषे-आज़म
फ़क़ीरों के हाजत रवा, ग़ौषे-आज़म

घिरा है बलाओं में बंदा तुम्हारा
मदद के लिए आओ, या ग़ौषे-आज़म़

तेरे हाथ में हाथ मैं ने दिया है
तेरे हाथ है लाज, या ग़ौषे-आज़म

कहे किस से जा कर हसन अपने दिल की
सुने कोन तेरे सिवा, ग़ौषे-आज़म

खिला मेरे दिल की कली ग़ौषे-आज़म
मिटा क़ल्ब की बे-कली, ग़ौषे-आज़म

तेरे रब ने मालिक किया तेरे जद को
तेरे घर से दुनिया पली, ग़ौषे-आज़म

कहा जिस ने या ग़ौष ! अग़िष्नी तो दम में
हर आई मुसीबत टली, ग़ौषे-आज़म

फ़िदा तुम पे हो जाए नूरी-ए-मुज़्तर
ये है इस की ख़्वाहिश-दिली, ग़ौषे-आज़म

==============In English==================

Shaian Lillah Ya Abdal Qadir

Shaian lillah ya abdal qadir
ya saakin baghdaad ! ya shaikhal jeelani

Idhar bhi nigaah e karam, ghaus e aazam
Karo door ranj-o-alam, ghaus e aazam

Mere har maraz door ho ja’ae, pyare
Karo aesa aa kar ke dam, ghaus e aazam

Bahut chibh raha hai, khudaara nikalo
Mere dil se teer e alam, ghaus e aazam

Kahin gir na jaa’aon, khudaara sanbhalo
Mere dagmagaae qadam, ghaus e aazam

Tera hun main tera, mere is kahe ka
Sar e hashr rakhna qaram, ghaus e aazam

Khilaata pilaata hai rabb e do-aalam
Tuje de ke apni qasam, ghaus e aazam

Madine se najdi bala ko nikalo
karo unke sar ko qalam, ghaus e aazam

Mujhe khwaab main aa ke jalwa dikha do
Karo aaj ki shab karam, ghaus e aazam

Jila pa’aega dil “Ubaid e Raza” ka
Zara rakhdo apna qadam, ghaus e aazam

Ye dil ye jigar hai, ye aankhen ye sar hai
Jahan chaho rakho qadam, ghaus e aazam

Aseeron ke mushkil-kusha ghaus e aazam
Faqeeron ke haajat-rawa, ghaus e aazaz

Ghira hai bala’aon main banda tumhaara
Madad ke liye aa’ao, ghaus e aazam

Tere haath main haath main ne diya hai
Tere haath hai laaj, ya ghaus e aazam

Kahe kis se jaa kar “Hasan” apne dil ki
Sune kon tere siwa, ghaus e aazam

Khila mere dil ki kali, ghaus e aazam
Mita qalbi be-kali, ghaus e aazam

Tere rab ne malik kiya tere jad ko
Tere ghar se duniya pali, ghaus e aazam

Kaha jis ne ya ghaus ! aghisni to dam main
Har aayi museebat tali, ghaus e aazam

Qadam gardan e aauliya par hai tera
Too hai rab ka aesa wali, ghaus e aazam

Fida tum pe ho jaye “Noor” e muztar
ye hai iski khwahish-dili, ghaus e aazam

Shayar :
Maulana Hasan Raza Khaan,
Mustafa Raza Khaan,
Owais Raza Khaan

Naat Khaan :
Owais Raza Qadri

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button