Pur Noor Hai Zamana Sub’h e Shab e Wilaadat
Pur Noor Hai Zamana Sub’h e Shab e Wilaadat
Pur noor Hai zamana, sub’h e shab e wilaadat
Parda utha hai kiska, Sub’h e shab e wilaadat
Jalwa hai Haq ka jalwa, sub’h e shab e wilaadat
Saaya khuda ka saaya, sub’h e shab e wilaadar
Fasl e bahaar aayi, shakl e nigaar aayi
Gulzaar hai zamana, sub’h e shab e wilaadat
Phoolon pe baagh mehke, shaakhon pe Murgh chehke
Ahd e bahaar aaya, sub’h e shab e wilaadat
Dil jhag-maga rahe hai, Qismat chamak uthi hai
Phaila naya ujala, sub’h e shab e wilaadat
Aayi nayi hukoomat, sikka naya chalega
Aalam ne rang badla, sub’h e shab e wilaadat
Ruhul ami’n ne gaada, kabe ki chhat pe jhanda
Ta-arsh uda pharera, sub’h e shab e wilaadat
Dil phir gaye hamare, sote naseeb jaage
Khursheed hi voh chamka, sub’h e shab e wilaadat
Piyaar e rabee-ul-awwal, teri jhalak ke sadaqe
Chamka diya naseeba, sub’h e shab ewilaadat
Naushah banaau unko, Doolha banaau unko
Hai Arsh tak ye shohra, sub’h e shab e wilaadat
Shaadi rachi huai hai, bajhte hai shaadiyaane
Doolha bana voh doolha, sub’h e shab e wilaadat
Aamad ka shaur sun kar, ghar aate hain bhikaari
Ghere khade hai rasta, sub’h e shab e wilaadat
Padhte hain arsh wale, sunte hain farsh wale
Sultaan e nau ka khutba, sub’h e shab e wilaadat
Sookhi zabaanon aao, ae jalti jaanon aao
lahera raha dariya, sub’h e shab e wilaadat
Teri chamak damak se, aalam chamak raha hai
Mere bhi bakht chamka, sub’h e shab e wiklaadat
Baata hai do-jahan main, tune ziya ka baada
De de “Hasan” ka hissa, sub’h e shab e wilaadat
Shayar : Maulana Hasan Raza Khaan Barelwi
Naat Khaan : Owais Raza Qadari