Salam salam salam ya husain
Salam salam salam Ya husain
Husain sa koi nahin husain sa koi nahin
Husaon sa koi nahin husain sa koi nahin
Sarapa Sidq-o-Wafa ko husain kahete hain
Ataa e Shair e Khuda ko husain Kahete hain
Husainiyyat ka zamane main hota hai charcha
Yazeediyyat ka nishan bhi kahin nahin nilta
Isiliye to lagate hain Ahl e haq naara
Fana Yazeed, Baqaa ko husain Kahete hain
Husain naam hai shafqat ka, maherbani ka
Husain naam hai jurrat ka, kamrani ka
Sabab husain hai Bateel ki na-tawani ka
Mujhahidon ki sada ko husain kahete hain
Nabi ke deen pe qurban huwa jawan beta
Shaheed ho gaya karbal main nanha shahezada
Museebaton main bhi karta raha jo shukr e khuda
Usi khuda ki riza ko husain kahete hain
Husain dast e jafa ko hai todne wala
Husain naata khuda se hai jodne wala
Husain sabr ki poshaq aodhane wala
siraat e rooshd-o-huda ko husain kahete hain
Husainiyyat pe jo qayim hain voh Turaabi hain
Yahi voh log hain sachche Inqilabi hain
Ragon main khun halali hai, khandani hain
Unhin ke rahenuma ko husain kahete hain
Voh jiska Shauq e”fareedi“jahan main hai charcha
Voh jisko sare shaheedon ka kahete hain aaqa
jise kalam e khuda ne bhi hai kaha zinda
Isi dawam-o-baqa ko husain kahete hain
Sayar: Shauq Faridi
Naat Khan: Hafiz Tahir Qadari
Hafiz Ahsan Qadri