सोज़े-दील चाहिए, चश्मे-नम चाहिए
और शौक़े-तलब मौतबर चाहिए
हों मुयस्सर मदीने की गलियाँ अगर
आँख काफ़ी नहीं है नज़र चाहिए
उन की महफ़िल के आदाब कुछ और हैं
लब कुशाई की जुर्रत मुनासिब नहीं
उन की सरकार में इल्तिजा के लिए
ज़ुंबिशे-लब नहीं, चश्मअे-तर चाहिए
अपनी रूदादे-ग़म मैं सुनाऊँ किसे
मेरे दुख को कोई और समझेगा क्या
जिस की ख़ाके-क़दम भी है ख़ाके-शिफ़ा
मेरे ज़ख़्मों को वो चारा-गर चाहिए
मैं गदाअे-दरे-शाहे-कौनैन हुँ
शीश महलों की मुझ को तमन्ना नहीं
हो मुयस्सर ज़मीं पर कि ज़ेरे-ज़मीं
मुझ को तयबा में इक अपना घर चाहिए
इन नअे रास्तों की नई रोशनी
हम को रास आई है और न रास आअेगी
हम को खोई हुई रोशनी चाहिए
हम को आईने-ख़ैरुल-बशर चाहिए
गोशा गोशा मदीने का पुर-नूर है
सारा माहौल जल्वों से मामूर है
शर्त ये है कि ज़र्फे-नज़र चाहिए
देखने को कोई दिदा-वर चाहिए
रौनक़ें ज़िन्दगी की बहुत देख लीं
अब मैं आँखो का अपनी करूँगा भी क्या
अब न कुछ दीदनी है, न कुछ गुफ़्तनी
मुझ को आक़ा की बस इक नज़र चाहिए
मिदहते-शाहे-कौनो-मकाँ के लिये
सिर्फ़ लफ़्ज़ो-बयाँ का सहारा न लो
फ़न्ने-शेरी है, “इक़बाल” अपनी जगह
नात कहने को ख़ूने-जिगर चाहिए
Soz e dil chahiye, chashm e nam chahiye,
Aur shauq e talab mautbar chahiye
Hon muyassar madine ki galiyaan agar,
Aankh kaafi nahin hai nazar chahiye
Unki mahfil ke aadab kichh aur hain,
Lab kushai ki jurrat munaasib nahin
Unki sarkar main iltija ke liye,
Zumbish e lab nahin chashma e tar chahiye
Apni roodad e gham main sunaaun kise,
Mere dukh ko koi samjega kya
Jis ki khake qadam bhi hai khak e shifa,
Mere zakhmon ko voh chaara-gar chahiye
Main gadaa e dar e shaah e kaunain hun,
Sheesh mahal ki mujh ko tamanna nahin
Ho muyassar zamee.n par ki zer e zamee.n,
Mujh ko taiba main ek apna ghar chahiye
In na.ae raston ki nayi roshani,
Ham ko raas aai hai aue na raas aaegi
Ham ko kho’ai hu’ai roshani chahiye,
Ham ko Aayeen e khairul-bashar chahiye
Gosha gosha madine ka pur-noor hai,
Saara mahaul jalwon se maamoor hai
Shart ye hai ki zarf-nazar chahiye,
Dekhne ko koi deeda-var chahiye
Ronaqe.n zindagi ki bahut dekhli.n
Ab main aankhin ka apni karunga bhi kya
Ab na kuchh deedni hai, na kuchh guftani
Mujh ko aapa ki bas ek nazar chahiye
Mifhat e shah e kaun-o-makaa.n ke liye,
sirf lafz-o-bayaa.n ka sahara na lo
Fann e sheri hai, “Iqbal” apni jagah ,
Naat kahne ko Khoon e jigar chahiye
Shayar : Iqbal Azeem
Naat Khaan : Allama Hafiz Bilal Qadri
Syed Hassan Ullah Husaini