Sub’ha Taiba main hui Bat’ta hai bada noor ka
Sadqa lene noor ka aaya hai taara noor ka
Baaghe taiba main suhaana phool phoola noor ka
Mast boo hai boolblen padhti hai kalima noor ka
Baarhwin ke chand ka mujhra hai sajada noor ka
Barah burjhon se jhuka ek ek sitaara noor ka
Aayi Bid.at, chhayi Zulmat, Rang badla noor ka
Maah e sunnat, mehr e talat, le le badla noor ka
Tere hi mathe raha ae jaan sehra noor ka
Bakht jaaga noor ka, chamka sitaara noor ka
Main gada tu badashah bharde piyala noor ka
Noor din doona tera de dal sadka noor ka
Teri hi jaanib hai panchon waqt sajda noor ka
Rukh hai qibla noor ka, abroo hai kaaba noor ka
Taaj wale dekh kar, imama noor ka
Sar jhukate hain ilaahi bolbala noor ka
Shama e Dil, Mishkat Tan,Seena julala noor ka
Mushaf e aejaz par chadhta hai sona noor ka
Wasf e rukh main gaati hain, Hoorain tarana noor ka
Qudrati beenon main kya bajhta hai lahra noor ka
Naariyon ka dor tha, dil jal raha tha noor ka
Tum ko dekha ho gaya, thanda kalejha noor ka
Teri nasl e paak main hai bachcha bachcha noor ka
Tu hai aain e noor tera sab gharana noor ka
Chand jhuk jata jidhar ungali uthate mahad main
Kya hi chalta tha isharon par khilauna noor ka
Aye “Raza” Ye Ahmad e Noori ka Faiz e Noor hai
Ho gai meri gazal padh kar qaseeda noor ka
Shayar : Imam Ahmad Raza Khaan
Naat Khaan : Owais Raza Qadari