Sunte hain ke maheshar main sirf unki rasai hai
Gar unki rasai hai lo jab to ban aa’ai hai
Machala hai ke rahemat ne ummid banai hai
Kya baat teri mujrim kya baat ban aa’ai hai
Sab ne saf e maheshar main lalkar diya hamko
Aye be-kason ke Aaqa ab teri duhai hai
Yoon to sab unhi ka hai par dil ki agar poochho
Ye toote hu’ae dil ki Khaas unki kamai hai
Baazar e amal main to soda na bana apna
Sarkar karam tujh main aaibi ki samai hai
Mujrim ko na sharmau ahbaab kafan dhank do
Munh dekh kya hoga parde main bhalai hai
Aye dil ye sulagna kya jalna hai to jal bhi uth
Dam ghutne laga zaalim Kya dhooni ramai hai
Aye ishq tere sadqe jalne se chhoote saste
jo aag boojha degi voh aag lagai hai
Taiba na sahi Afzal Makka hi bada Zaahid
Ham ishq ke bande hain kyoon baat badhai hai
Ab aap hi sanbhale to kaam apne sanbhal jaa’aen
Ham to kamai sab khailon main gawai hai
Girte huwon ko muzda, Sajde gire maula
Ro ro ke shafa,at ki tamheed uthai hai
Matla main ye shaq kya tha wallah “Raza” wallah
Sirf unki rasai hai sirf unki rasai hai
Shayar : Imam Ahmad Raza Khaan
Naat Khaan : Owais Raza Qadari
Asad Raza Attari