Assalamu Alaikum

Zor e Baazua e Haidar Is Tarah Dikhaa Daala

Zor e baazua e Haidar, is tarah dikhaa daala
Aek nanhe Asghar ne, Karbala hilaa daala

Deen e Mustafa par, Aanch na aane di
Aaqa ke mawason ne, ghar ka ghar ka lutaa daala

Haath par diya na haath, tum ne aye shah e karbala
Bachpane ke wade par, apna sar kataa daala

Aaya tha mitane ko, Kufr gulshan e islam
Fatima ke Beton ne, Kufr hi mitaa daala

Uth gaya Qalam Jab bhi, mere Aala Hazrat ka
Najdiyon ki sazish to, Khak main milaa daala

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button