Unka Mangata Hun Jo Mangata Nahin Hone Dete Lyrics
उन का मँगता हूँ, जो मँगता नहीं होने देते
उन का मँगता हूँ, जो मँगता नहीं होने देते
ये हवाले मुझे रुस्वा नहीं होने देते
मेरे हर ऐब की करते हैं वो पर्दा-पोशी
मेरे जुर्मों का तमाशा नहीं होने देते
है ये ईमान के आएँगे लहद में मेरी
अपने मँगतों को वो तन्हा नहीं होने देते
अपने मँगतों की वो फ़ेहरिस्त में रखते हैं मुझे
मुझ को मोहताज किसी का नहीं होने देते
नात पढ़ता हूँ तो आती है महक तैबा की
मेरे लहजे को वो मैला नहीं होने देते
आप की याद से रहती है नमी आँखों में
मेरे दरियाओं को सहरा नहीं होने देते
हुक्म करते हैं तो मिलते हैं ये मक़्ते, शाकिर !
आप न चाहें तो मतला नहीं होने देते
================In English================
Unka Mangata Hun, Jo Mangata Nahin Hone Dete
Unka mangata hun, jo mangata nahin hone dete
Ye hawaale mujhe ruswa nahin hone dete
Mere har aaib ki karte hain wo parda-poshi
Mere jurmon ka tamaasha nahin hone dete
Apne mangaton ki woh fehrist main rakhte hain mujhe
Mujh ko mohtaaj kisi ka nahin hone dete
Hai ye imaan ke aa’aenge lahd main meri
Apne mangaton ko woh tanha nahin hone dete
Naat padhta hun to aati hai mahak taiba ki
Mere lahje ko woh mela nahin hone dete
Aap ki yaad se rahti hai nami aankhon main
Mere dariya’aon ko sahra nahin hone dete
Hukm karte hain to milte hain ye maqte, “shakir”
Aap na chaahen to matla nahin hone dete
Shayar : Tanvirullah Shakir
Naat Khaan :
Hafiz Tahir Qadri,
Ghulam Mustafa Qadri