Koi duniya e ata main nahin hamta tera
Ho jo hatim ko muyassar ye nazara tera
Keh uthe dekh ke bakhshish ka ye rutba tera
Wah kya jood-o- karam hai shah e Batha tera
Nahin sunta hi nahin mangne wala tera
Kuchh Bashar hone ke naat e tujhe khud sa jane
Aur kuchh mahaz payaam hi khuda ka jane
Inki aukaat hi kya hai ke ye itna jane
Farsh wale teri shaukat ka uloo kya jane
Khusrava arsh pe udta hai pharera tera
Kayin pushton se ghulami ka ye rishta hai bahal
yahi teefli aur jawani ka bitaaen mah-o-saal
Ab budhape main khudara hamain yoon dar se na taal
Tere tukdon pe palen ghair ki thokar pe na daal
Jhidkiyan khaye kahan chhod ke sadqa tera
Mujh se na-cheez pe hai teri Inayat kitni
Tune har gah pe ki meri himayat kitni
Kya bata’aun teri rahemat main hai wusa’at kitni
Aek main kya mere isyan ki haqeeqat kitni
Mujh se so lakh ko kaafi hai ishara tera
Nazre ushshaq e nabi hai ye mera harf e ghareeb
Mimbar e waaz pe kadte rahain aapas main khateeb
Ye aqeeda rahe Allah Kare mujh ko naseeb
Main to maalik hi kahunga ke ho maalik ke habeeb
Yani mahboob muhibb main nahin mera tera
Tujh se har chand voh hain Qadr-o-Fazail main Rafee’a
Kar “Naseer” aaj magar fikr e Raza ki Tausee’a
Paas hai uske shafa’at ka Waseela bhi waqee’a
Teri Sarkar main lata hai “Raza“usko Shafee’a
Jo mera Ghaus hai aur laadala Beta tera
Shayar : Imam Ahmad Raza Khaan Fazeel e Barailvi
Tazmeen : Peer Naseeruddin Naseer
Naat Khaan : Zuhaib Ashrafi
Pingback: Nazr e bad se bachne ki dua - alhuda