Assalamu Alaikum

Ya Ghaus Bulao Mujhe Baghdad Bulao Lyrics

या ग़ौष ! बुलाओ, मुझे बग़दाद बुलाओ

या ग़ौष ! बुलाओ, मुझे बग़दाद बुलाओ
बग़दाद बुला कर मझे जल्वा भी दिखाओ

दुनिया की मुहब्बत से मेरी जान छुड़ाओ
दीवाना मुझे शाहे-मदीना का बनाओ

चमका दो सितारा मेरी तक़दीर का, मुर्शिद !
मदफ़न को मदीने में जगह मुझ को दिलाओ

नय्या मेरी मँजधार में, सरकार ! फँसी है
इमदाद को आओ, मेरी इमदाद को आओ

हसनैन के सदक़े हो मेरी मुश्किलें आसाँ
आफ़ातो-बलिय्यात से, या ग़ौष ! बचाओ

या पीर ! मैं ईस्याँ के तलातुम में फँसा हूँ
लिल्लाह ! गुनाहों की तबाही से बचाओ

अच्छों के ख़रीदार तो हर-जा पे हैं, मुर्शिद !
बदकार कहाँ जाएँ जो तुम भी न निभाओ

अहकामे-शरीअत रहें मल्हूज़ हमेशा
मुर्शिद ! मुझे सुन्नत का भी पाबंद बनाओ

अत्तार ! जहन्नम से बहुत ख़ौफ़-ज़दा है
या ग़ौष ! इसे दामने-रहमत में छुपाओ

================In English================

Ya Ghaus Bulao Mujhe Baghdad Bulao Lyrics

Ya ghaus bulaao, mujhe baghdaad bulaao
Baghdaad bula kar mujhe jalwa bhi dikhaao

Duniya ki muhabbat se meri jaan chhudaao
Deewana mujhe shaah e madina ka banaao

Chamka do sitaara meri taqdeer ka, Murshid !
Madfan ko madine main jagah mujh ko dilaao

Nayya meri manjhadaar main, Sarkar ! phansi hai
Imdaad ko aao, meri imadaad ko aao

Hasnain ke sadqe ho meri mushkilen aasaa.n
Aafaat-o-baliyyaat se, ya ghaus ! bachaao

Ya peer ! main isyaa.n ke talaatum main phansa hun
Lillah ! gunaahon ki tabaahi se bachaao

Achhon ke khareedar to har-haa.n pe hain, Murshid !
Badkaar kahaa.n ja’aen jo tum bhi na nibhaao

Ahkaam e sharee’at rahen malhooz hamesha
Murshid ! mujhe sunnat ka bhi paaband banaao

Attar” ! jahannam se bahut khauf-zada hai
Ya ghaus ! ise daaman e rahmat main chhupaao

Shayar : Muhammad Ilyas Attar Qadri
Naat Khaan : 
Owais Raza Qadri,
Waqar Attari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button