ये कहती थी घर घर में जाकर हलीमा
मेरे घर में ख़ैरुल-वरा आ गए हैं
बड़े ओज पर है मेरा अब मुक़द्दर
मेरे घर हबीबे-ख़ुदा आ गए हैं
उठी चार-सू रहमतों की घटाएँ
मुअत्तर मुअत्तर हैं सारी फ़िज़ाएँ
ख़ुशी में ये जिब्रील नग़्मे सुनाएँ
वो शाफ़े-ए-रोज़े-जज़ा आ गए हैं
ये ज़ुल्मत से कह दो के डेरे उठा लो
के हैं हर तरफ़ अब उजाले उजाले
कहा जिन को हक़ ने सिराज-म्मुनीरा
मेरे घर वो नूरे-ख़ुदा आ गए हैं
मुक़र्रब हैं बेशक ख़लीलो-नजी भी
बड़ी शान वाले कलीमो-मसीह भी
लिये अर्श ने जिन के क़दमो के बोसे
वो उम्मी लक़ब मुस्तफ़ा आ गए हैं
है सुन कर सख़ी आप का आस्ताना
है दामन पसारे हुए सब ज़माना
नवासों का सदक़ा, निगाहे-करम हो
तेरे दर पे तेरे गदा आ गए हैं
ख़ुदा के करम से नकीरैन आ कर
कहेंगे ज़ियारत का मुज़्दा सुना कर
उठो बहरे-ताज़ीम, नूर-उल-हसन ! अब
लहद में रसूले-ख़ुदा आ गए हैं
Ye kahti thi ghar ghar main jaakar Halima
Mere ghar main khairul-wara aa gaye hain
Bade aauj par hai mera ab muqaddar
Mere ghar habeeb e khuda aa gaye hain
Uthi chaar-soo rahmaton ki ghata’aen
Muattar muattar hain saari fiza’aen
Khushi main ye Jibreel naghme suna’a
Wo shafi e roz e jaza aa gaye hain
Ye zulmat se kah do ke dere utha le
Ke hain har taraf ab ujale ujale
Kaha jin ko haq ne siraajam-muneera
Mere ghar wo noor e khuda aa gaye hain
Muqarrab hain be-shak khaleel-o-naji bhi
Badi shaan wale Kaleem-o-Maseeh bhi
Liye arsh ne jin ke qadmon ke bose
Wo ummi laqab Mustafa aa gaye hain
Hai sun kar sakhi aap ka aastaana
Hai daaman pasaare hu’ae sab zamaana
Nawaason ka sadqa, nigaah e karam ho
Tere dar pe tere gada aa gaye hain
Khuda ke karam se nakeerain aa kar
Kahenge ziyaarat ka muzda suna kar
Utho bahar e tazeem, “Noor-ul-Hasan” ! ab
Lahad main Rasool e khuda aa gaye hain
Shayar : Noor-ul-Hasan
Naat Khaan : Owais Raza Qadri