Assalamu Alaikum

Ye Kis Shahenshah e Wala ki Aamad Aamad Hai

Ye ki shahenshah e waala ki aamad aamad hai
Ye kon se shah e baala ki aamad aamad hai

Ye aaj kahe ki shadi hai, arsh kyoon jhooma
Lab e zamee.n ko lab e aasma ne kyoon jhooma

Rusool unhi ka to muzda soonane aa’ae hain
Unhi ke aane ki khushiyaa.n manane aa.ae hain

Firishte aaj jo dhoome machane aa.ae hain
Unhi ke aane ki shadi rachane aa.ae hain

Chamak se apni jahaa.n jagmagane aa.ae hain
Mahak se apni ye kooche basaane aa.ae hain

Ye seedha rasta haq ka batane aa.ae hain
Ye haq ke bandon ko haq se milane aa.ae hain

Ra.aoof  aaise hain aur ye raheem hain kitne
Ke girte, padton ko seene lagane aa.ae hain

Yahi to sote hu.aon ko jagane aa.ae hain
Yahi to rote hu.aon ko hasane  aa.ae hain

Inhe.n khuda ne kiya apne mulk ka malik
Inhee.n ke qabze main rab ke khazane aa.ae hain

Jo chahenge, jise chahenge ye use denge
Kareem hain ye khazane lootane aaye hain

Sabhi rasool ne kaha ‘izhaboo-ila-ghairi’
‘Ana-laha’ ka yemuzda sunane aa.ae hain

Ajab kareem hai ke khud mujreemon ke hami hain
Gunah-gaaron ki ye bakhshish karane aa.ae hain

Ye aaj taare zamee.n ki taraf hain kyoo.n mayil
Ye aasmaa.n se paiham hai noor kyoo.n naazil

Ye aaj kya hai zamane ne rang badla hai
Ye aaj kya hai ki ‘aalam ka dhang badla hai

Soonoge ‘La’ na zaban e kareem se “Noori
Ye faiz-o-jood ke dariya bahane aa.ae hain

Naseeb tera chamak utha dekh to “Noori
Arab ke chand lahad ke sirhane aa.ae hain

 

Shayar : Mustafa Raza Khaan Noori
Naat Khaan : Owais RazaQadari,
Abdul Habib Attari,
Maulana Bilal Raza Qadri

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button